Aik yaad..(khushgawar Ehsaas)

Bachapan aik Haseen dour.. aur sooch us say bhi zyada haseen

Aasman ko dekh kar mujhay lagta tha..

Aasman par badal aur sooraj pakram pakraye khail rahay hain.

Main badal ko uksa kar kahti..zara is ko pakru

wo sooraj kay peechay bhagta. . . aur sooraj hanpta kanpta apni jaan bacha kar yahan wuhan phirnay lagta

Aik lamhay k lie badal pooray Aasman par haavy ho jaatay..agalay hi lamhay sooraj moun chirate hue badal kay samnay aa kar dat kar kharay ho jaatay..

main badal say sargoshi main kahti

“Kam khaya karo..Tum say bhaga nahi jaata..”

Raat ko phr Aasman taaru.n say bhar jaata..lagta jaisay kaali siyaah chadar par kissi nay Moti ulaat die hun..

badal raat ko bhi wuhi hotay..

laikin Manzar alaag hota!

Main Aasman par bikhray  aur guzartay hue badalu.n ko dekh kar najaanay kitni shaklain banati

Kabhi Lgta kay kissi Artist nay aadha chahra banaya ho..

sar, maata aur aankhain..kabhi baal bikhraye tu kabhi gum ho jatay..

aur achanak badalu.n ki oot main say kahin Shair dharta hua nikal aata..

aur Main dur kay maaray chadar mou.n par rakh kar kissi naye waadi ki sair ko nikal jaati

Advertisement

4 Comments »

  1. ibnesayeed Said:

    Salam Masnoon.

    Baadal aur Sooraj ki yeh aankh macholi to main ne bhi deki hai par zara mukhtalif ehsaasaat ke saath.

    Dopahar ke waqfe mein Gaaon se thodi doori par waaqe School se Ghar aur khane ke baad dubaara Ghar se School jaate huye baaraha Dhoop aur Chhaon ko Choohe Billi ka khel khelte dekha hai. Saaye ke aane par mutthi band karke gard bhari kachchi sadak aur fasal kate kheton mein daud bhi lagi hai. Par un dhop chhaaon ke tukdiyon ki raftaar mujh se kahin zyada hoti thi, achaanak dhoop aajane par mutthi khol deta, raftaar az khud sust pad jaati, aur peechhe mud kar naye mehrbaan saaye ki doori ka andaaza karne lagta.

    Din ki jalti dhoop mein Aasmaan ki jaanib nigaahen uthana mere bas ki baat na thi haan zameen par ek doosare ka pechha karte dhoop chhaaon Sooraj aur Baadal ki gardish ka pata dete they.

    Raat mein yahi aankhmacholi Chaand aur Baadalon mein jaari rehti aur tab main baaraha is kashmakash mein ghaltaan wa pechaan rehta ki donon mein se chal kaun raha hai? Neez yeh ki main jahan kahin jaata hun Chaand mera peechha kiyun karta hai, agar yeh mere saath saath yun hi bhaagta raha to auron ka kya bane ga?

    Woh Sooraj, woh Baadal, Woh Chaand aaj bhi gardish mein hain … … … … aur … … … Main bhi.


    Sawood Alam
    http://ibnesayeed.wordpress.com/

  2. tatheer Said:

    khubsurat lafzon main buna hua khubsurat khayal khoobsurat yaad….
    masoom nanhi nanhi khawishain
    roshan chamakti aankhon k dilfaraib khaab

    kya kehne………………

  3. kainataarzoo Said:

    @Sawood bhaiya (Ibnesayeed)

    itna khubsurat Comment aur itni bahtreen manzar kashi hai k apni tehreer maand lagnay lagi hai :)

    dopahar ki peeli dhoop….gard bhari kachchi sadak..aur chand k saath aankh macholi

    buhat khubsurati say apnay is yaad ka aik aur warq palta…

    jeetay rahiye

    -Kainat Aarzu-

  4. kainataarzoo Said:

    @tatheer

    buhat shukriya

    -Kainat Aarzu-


{ RSS feed for comments on this post} · { TrackBack URI }

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out / Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out / Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out / Change )

Connecting to %s

Follow

Get every new post delivered to your Inbox.