Meray Khuwab..(Hai Ibarat buhat Aam si..)

Haan..!! Main khuwab buhat dekhti hun..

Tabeeru.n ki justujo main jaltay, ubaltay , aur chukna choor hotay hue khuwab..

youn toot’tay phhot’tay khuwab!!

Meri Khuwahishat ka Asaasa bhi hain..

aur meri aankhun ki khoobsurti bhi !

Apna Asaasa kisay azeez nahi hota!

Mujhay bhi apnay khuwab buhat azeez hain..

Zindagi ki tarha..

Zindagi kay chahray par dahaktay mahaktay rangu.n aur un rangu.n main raqs rachati khushbu ki tarha..

Mujhay Yaqeen hai jis din khuwab khatam ho jaingay

Insaan soona choor daiga..

k raigaa aur khaali neend ka dosra naam “Mout” hai..

Zindagi tu khwahishu , kharashu.n , khayalu.n aur khuwabu.n say Ibarat hai..!!

Thori Si Muhabbat

Kabhi kabhi bai intiha aur bai panah chahat main

“Thori Si Muhabbat” ki kami rah jaati hai..

aur kabhi kabhi

kuch na hotay hue bhi

“Thori Si Muhabbat”

bhi ‘buhat’ hoti hai..

Baat sirf nazariye aur sooch ki hai

-Kainat Aarzu- 

Ehtisaab..!!

Main apnay wujood kay rangu.n main

Jab bhi kuch raqam karun

Kitab-e-zindagi ko

tumharay naam ka Intisaab dun

Apni Matay-e-Hayyat ka

har Hasil lamha..

tumharay Wujood ki Khaak ko nazar karun

Nazar say jab Nazar milaou.n

tu surkhuru ho kar

wo lafz-e-kamaal kahun

kay jiski gehraye ko panapnay k lie

Nakaafi ho..

Tumhara Tajarba

Aur Meri Umr-e-Rawaa. n ..!!

-Kainat Aarzu-

Aik yaad..(khushgawar Ehsaas)

Bachapan aik Haseen dour.. aur sooch us say bhi zyada haseen

Aasman ko dekh kar mujhay lagta tha..

Aasman par badal aur sooraj pakram pakraye khail rahay hain.

Main badal ko uksa kar kahti..zara is ko pakru

wo sooraj kay peechay bhagta. . . aur sooraj hanpta kanpta apni jaan bacha kar yahan wuhan phirnay lagta

Aik lamhay k lie badal pooray Aasman par haavy ho jaatay..agalay hi lamhay sooraj moun chirate hue badal kay samnay aa kar dat kar kharay ho jaatay..

main badal say sargoshi main kahti

“Kam khaya karo..Tum say bhaga nahi jaata..”

Raat ko phr Aasman taaru.n say bhar jaata..lagta jaisay kaali siyaah chadar par kissi nay Moti ulaat die hun..

badal raat ko bhi wuhi hotay..

laikin Manzar alaag hota!

Main Aasman par bikhray  aur guzartay hue badalu.n ko dekh kar najaanay kitni shaklain banati

Kabhi Lgta kay kissi Artist nay aadha chahra banaya ho..

sar, maata aur aankhain..kabhi baal bikhraye tu kabhi gum ho jatay..

aur achanak badalu.n ki oot main say kahin Shair dharta hua nikal aata..

aur Main dur kay maaray chadar mou.n par rakh kar kissi naye waadi ki sair ko nikal jaati

Follow

Get every new post delivered to your Inbox.